Kuch pahale in ankhon age kya kya na nazara guzra tha
kya raushan ho jati thi gali jab yar hamara guzra tha
The kitne ache log ke jinko apne gham se fursat thi
sab puchen the ahawal jo koi dard ka mara guzra tha
Ab ke to khizan aisi thahari wo sare zamane bhool gaye
jab mausam-e-gul har phere main aa aa ke dubara guzra tha
Thi yaron ki buhtat to hum agyar se bhi bezar na the
jab mil baithe to dushman ka bhi sath gawara guzra tha
Ab to hath sujhai na dewe lekin ab se pahle to
ankh uthate hi ek nazar main alam sara guzra tha
Faiz Ahmad Faiz
No comments:
Post a Comment